koī surāġh koī naqsh-e-pā nahīñ miltā
tumhāre shahar kā ab rāsta nahīñ miltā
kaho to tum ko ḳhudā maan leñ mohabbat kā
ki ham ko tum sā koī dūsrā nahīñ miltā
ye dasht-e-hijr kī vahshat hai sāhibān-e-vafā
yahāñ kisī ko koī aasrā nahīñ miltā
suno hameñ hī jalā do ki raushnī ke liye
hamāre shahar ko koī diyā nahīñ miltā
havā ne kar diyā pāmāl raushnī kā badan
charāġh-e-bām kā koī pata nahīñ miltā
hameñ to jis ne pukārā ḳhudā lagā ham ko
vo kaun log haiñ jin ko ḳhudā nahīñ miltā
jahāñ pe kaaTī thī tāzīr-e-ābla-pā.ī
yahīñ kahīñ thā koī dasht sā nahīñ miltā
ajiib shahar hai kūfa-mizāj logoñ kā
koī bhī shaḳhs qarīn-e-vafā nahīñ miltā
ye vahshatoñ ko baḌhāne kā vaqt hai shāh-jī
ki ḳhushbūoñ kā koī silsila nahīñ miltā