bhuul bhī jaa.eñ tujhe zaḳhm purānā bhī to ho
jī bhī leñ jiine ko jiine kā bahāna bhī to ho
ham ne sīkhā hī nahīñ tark-e-muravvat kā sabaq
baat baḌhtī hai magar baat baḌhānā bhī to ho
ab ke maqtal ko kisī mele kī zīnat kar do
phir tamāsha jo saje saath zamāna bhī to ho
dasht-dar-dasht sahī ābla-pā.ī hī sahī
aur masāfat hī sahī koī Thikāna bhī to ho
aao yārān-e-jafā! zaḳhm kuredo dil ke
bazm-e-yārāñ hai zarā jalnā-jalānā bhī to ho
shab kī zulmat kī qasam shab meñ ujālā kar deñ
ham charāġhoñ sā jaleñ to kahīñ aanā bhī to ho
ham jo chāheñ to tirā naqsh miTā deñ dil se
haañ magar dil se tirā naqsh miTānā bhī to ho
ham ko maslūb karo lāsha jalā do chāhe
qabl-e-ta.azīr koī sunñā-sunānā bhī to ho
shaah jī raat ga.e der ga.e tak bhaTko
kaisī tāḳhīr kahīñ lauT ke jaanā bhī to ho