nashāt-e-hijr ko terī kamī ko bhuul ga.e
tire ḳhayāl meñ Duube tujhī ko bhuul ga.e
vo duniyā-dār haiñ ham ne kabhī kahā to na thā
ajiib log haiñ is sādgī ko bhuul ga.e
adū ne ham se hamārā ġhurūr māñgā thā
anā-parast the ham zindagī ko bhuul ga.e
junūñ kā ek taqāzā thā sirf sar-mastī
kitāb jhoñk dī ham āgahī ko bhuul ga.e
ye kaisī bazm sajī qahqaha nahīñ gūñjā
gumāñ hai tum bhī kisī aadmī ko bhuul ga.e
kisī ke ashk ne sairāb kar diyā 'shāh-jī'
so ham ġharīb-e-vatan tishnagī ko bhuul ga.e