ik na ik sham añdhere meñ jalā.e rakhiye
sub.h hone ko hai māhaul banā.e rakhiye
dil ke hāthoñ se hameñ zaḳhm-e-nihāñ pahuñche haiñ
vo bhī kahte haiñ ki zaḳhmoñ ko chhupā.e rakhiye
kaun jaane ki vo kis rāhguzar par guzre
har guzargāh ko phūloñ se sajā.e rakhiye
dāman-e-yār kī zīnat na bane ham afsos
apnī palkoñ ke liye kuchh to bachā.e rakhiye