jalva-farmā der tak dil-bar rahā
apnī kah lī sab ne maiñ shashdar rahā
jism be-his be-shikan bistar rahā
maiñ na.e andāz se muztar rahā
maiñ ḳharāb-e-bād-o-sāġhar rahā
dil fidā-e-sāqi-e-kausar rahā
maiñ rahā to bāġh-e-hastī meñ magar
be-navā be-āshiyāñ be-par rahā
sab chaman vāloñ ne to luuTī bahār
aur mujhe sayyād hī kā Dar rahā
koī samjhā rind koī muttaqī
lab pe tauba haath meñ sāġhar rahā
tham rahe aañsū rahī dil meñ jalan
nam rahīñ āñkheñ kaleja tar rahā
umr bhar phirtā rahā maiñ dar-ba-dar
mar ke bhī charchā mirā ghar ghar rahā
saikaḌoñ fikreñ haiñ tum ko āqilo
tum se to 'majzūb' hī behtar rahā