us ko jī daar kar diyā jaa.e
ḳhud se do-chār kar diyā jaa.e
raushnī aa rahī hai bāhar se
dar ko dīvār kar diyā jaa.e
dil ke zindāñ meñ so rahā hai koī
ab to bedār kar diyā jaa.e
shahr gunjān ho gayā hai bahut
shahr mismār kar diyā jaa.e
jaañ bachāne kā ik tarīqa hai
vaqf-āzār kar diyā jaa.e
ruuh kā ghaav bharne vaalā hai
phir koī vaar kar diyā jaa.e