har chiiz meñ aks-e-ruḳh-e-zebā nazar aayā
aalam mujhe sab jalva hī jalva nazar aayā
tū kab kisī tālib ko sarāpā nazar aayā
dekhā tujhe utnā jise jitnā nazar aayā
kiiñ band jab āñkheñ to mirī khul ga.iiñ āñkheñ
kyā tum se kahūñ phir mujhe kyā kyā nazar aayā
jab mahr numāyāñ huā sab chhup ga.e taare
tū mujh ko bharī bazm meñ tanhā nazar aayā
gardūñ ko bhī ab dekh ke hotī hai tasallī
ġhurbat meñ yahī ek shanāsā nazar aayā
sab daulat-e-kaunain jo dī ishq ke badle
is bhaao ye saudā mujhe sastā nazar aayā
nākām hī tā-umr rahā tālib-e-dīdār
har jalva tirā ba.ad ko pardā nazar aayā
jo duur nigāhoñ se sar-e-arsh-e-barīñ hai
vo nuur sar-e-gumbad-e-ḳhazrā nazar aayā
majzūb' kabhī soz kabhī saaz hai tujh meñ
tū 'mīr' kabhī aur kabhī 'saudā' nazar aayā
majzūb' ke jazbe kī jo samjhe na haqīqat
un aql ke andhoñ ko ye saudā nazar aayā