Inamullah Khan Yaqeen

bahaar aai hai kya kya chaak jaib-e-pairahan karte

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
bahār aa.ī hai kyā kyā chaak jaib-e-pairahan karte
jo ham bhī chhūT jaate ab to kyā dīvāna-pan karte
tasavvur us dahān-e-tañg kā ruḳhsat nahīñ detā
jo Tuk dam maar sakte ham to kuchh fikr-e-suḳhan karte
nahīñ juuñ panja-e-gul kuchh bhī in hāthoñ meñ gīrā.ī
vagarna ye garebāñ nazr-e-ḳhūbān-e-chaman karte
musāfir ho ke aa.e haiñ jahāñ meñ tis pe vahshat hai
qayāmat thī agar ham is ḳharāba meñ vatan karte
koī farhād jaise be-zabāñ ko qatl kartā hai
'yaqīñ' ham vaañ agar hote to ik-do bachan karte
Top Urdushayar.com