Inamullah Khan Yaqeen

kya dil hai agar jalwa-gah-e-yar na howe

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
kyā dil hai agar jalva-gah-e-yār na hove
hai tuur se kyā kaam jo dīdār na hove
kuchh rañg nahīñ naġhma-o-āhañg meñ us ke
bulbul jo bahārāñ meñ giraftār na hove
dil jal jo gayā ḳhuub huā soḳhta behtar
vo jins koī jis kā ḳharīdār na hove
shamshād ko deve hai qazā vaar ke tujh par
jo jaama tire qad pe sazā-vār na hove
niiñ bāġh-e-mohabbat meñ 'yaqīñ' us ko kahīñ jā
jis dil meñ ki dāġhoñ satī gulzār na hove
Top Urdushayar.com