Inamullah Khan Yaqeen

wo kaun dil hai jahan jalwa-gar wo nur nahin

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
vo kaun dil hai jahāñ jalva-gar vo nuur nahīñ
is āftāb kā kis zarre meñ zuhūr nahīñ
koī shitāb ḳhabar lo ki be-namak hai bahār
chaman ke beach divānoñ kā ab ke shor nahīñ
tajalliyoñ se pahuñchtā hai kab use aaseb
sanam-kada hai na āḳhir ye koh-e-tūr nahīñ
tire safar kī ḳhabar sun ke jaan dhaḌkoñ se
jo pahuñchūñ marg ke nazdīk maiñ to duur nahīñ
koī bhī detā hai laḌkoñ ke haath shīsha-e-dil
'yaqīñ' maiñ ġhaur se dekhā to kuchh shu.ūr nahīñ
Top Urdushayar.com