ga.e sab bhuul shikve dekh rū-e-yār kyā kahiye
zabāñ hairat se merī ho ga.ī be-kār kyā kahiye
tabassum meñ jo us kā muñh khulā dil bañdh gayā vohīñ
mirā dil le gayā hañste hī hañste yaar kyā kahiye
agar us kī jagah pahlū meñ hotā ḳhaar behtar thā
bahut detā hai merā dil mujhe āzār kyā kahiye
jalā kar āshiyāñ is fasl-e-gul meñ bāġhbāñ merā
jahannum tū ne mujh par kar diyā gulzār kyā kahiye
'yaqīñ' ke vāqiye kī sun ḳhabar vo bad-gumāñ bolā
ye dīvāna to kuchh aisā na thā bīmār kyā kahiye