us gul se kuchh hijāb hameñ darmiyāñ na thā
jis din ki ye bahār na thī gulistāñ na thā
dām-o-qafas se chhūT ke pahuñche jo baaġh tak
dekhā to is zamīñ meñ chaman kā nishāñ na thā
ye qumriyāñ jo sarv kī āshiq huiiñ magar
duniyā meñ aur koī sajīlā javāñ na thā
kyuuñ kar milī ho gul se jo aatī ho ḳhush-dimāġh
ai bulbuloñ chaman meñ magar bāġhbāñ na thā
lāchār le dil apnā gayā gor meñ 'yaqīñ'
is jins kā jahāñ meñ koī qadr-dāñ na thā