na dekhūñgā hasīnoñ ko are tauba na dekhūñgā
taqāzā laakh tū kar ai dil-e-shaidā na dekhūñgā
karūñ nāseh maiñ kyūñkar haa.e ye va.ada na dekhūñgā
nazar paḌ jā.egī ḳhud hī jo dānista na dekhūñgā
nigāh-e-nāz ko terī maiñ sharminda na dekhūñgā
haTā.e letā huuñ apnī nazar achchhā na dekhūñgā
vo kahte haiñ na samjhūñgā tujhe 'majzūb' maiñ āshiq
ki jab tak kūcha o bāzār meñ rusvā na dekhūñgā
balā se maiñ agar ro ro ke bīnā.ī bhī kho baiThūñ
karūñgā kyā in āñkhoñ ko jo vo jalva na dekhūñgā
balā se mere dil par merī jaañ kuchh hī guzar jaa.e
maiñ terī ḳhātir-e-nāzuk ko āzurda na dekhūñgā
uThā.ūñgā na zaanū se maiñ hargiz apnā sar hamdam
are maiñ apnī āñkhoñ se unheñ jaatā na dekhūñgā
hasīnoñ se vahī phir hazrat-e-dil dīda-bāzī hai
abhī to kar rahe the aap ye daavā na dekhūñgā
zarā ai nāseh-e-farzānā chal kar sun to do bāteñ
na hogā phir bhī tū 'majzūb' kā dīvāna dekhūñgā