Inamullah Khan Yaqeen

dil nahin khinchta hai bin majnun bayaban ki taraf

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
dil nahīñ khiñchtā hai bin majnūñ bayābāñ kī taraf
ḳhush nahīñ aatā nazar karnā ġhazālāñ kī taraf
fasl-e-gul kī ham asīroñ ko ḳhabar kab hai vale
in dinoñ meñ shor sā kuchh hai gulistāñ kī taraf
aag kī mujh ko lagī hai pyaas ye kyūñkar bujhe
kyūñki dekhūñ sair us ḳhurshīd-e-tābāñ kī taraf
is havā meñ rahm kar saaqī ki be-jām-e-sharāb
dekh kar chhātī bharī aatī hai bārāñ kī taraf
sehr ke Dore jo sunte the so ab dekhe 'yaqīñ'
dil khiñchā jaatā hai us zulf-e-pareshāñ kī taraf
Top Urdushayar.com