Inamullah Khan Yaqeen

shab-e-hijran ki wahshat ko tu ai bedad kya jaane

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
shab-e-hijrāñ kī vahshat ko tū ai bedād kyā jaane
jo din paḌte haiñ rātoñ ko mujhe terī balā jaane
judā ham se huā thā ek din jo apne yāroñ meñ
ḳhabar phir kuchh na paa.ī kyā huā vaaq.e ḳhudā jaane
na rakh ai abr tū sar par hamāre baar minnat kā
vo bādal aur haiñ jo aag ko dil kī bujhā jaane
na rakh ai dil tū ummīd-e-vafā in be-vafāoñ se
ḳhudā se hai vo begāna jo but ko āshnā jaane
junūñ ne us ke gul se bulbuloñ tak shor Daalā hai
'yaqīñ' sā ho koī tab is tarah dhūmeñ machā jaane
Top Urdushayar.com