Inamullah Khan Yaqeen

misr mein husn ki wo garmi-e-bazar kahan

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755

misr meñ husn vo garmi-e-bāzār kahāñ

jins to hai pe zuleḳhā ḳharīdār kahāñ

faiz hotā hai makīñ par na makāñ par nāzil

hai vahī tuur vale shola-e-dīdār kahāñ

aish o rāhat ke talāshī haiñ ye saare bedard

ek ham ko hai yahī fikr ki āzār kahāñ

ishq agar kījiye dil kījiye kis se ḳhālī

dard o ġham kam nahīñ is daur meñ ġham-ḳhvār kahāñ

qaidī us silsila-e-zulf ke ab kam haiñ 'yaqīñ'

haiñ dil-āzār bahut jān-giraftār kahāñ

Top Urdushayar.com