Inamullah Khan Yaqeen

hai tere dagh se tar sina-e-sozan mera

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
hai tire daaġh se tar sīna-e-sozāñ merā
āb-o-rañg aag se rakhtā hai gulistāñ merā
ġham ke hāthoñ na rahā kuchh bhī rafū ke qābil
bas-ki sau baar huā chaak garebāñ merā
mauj-e-dariyā kī tarah zabt meñ aa saktā nahīñ
koī kyuuñ kar kahe ahvāl-e-pareshāñ merā
rū agar dījiye is ko bhī to kuchh aib nahīñ
aa.ine se bhī gayā kyā dil-e-hairāñ merā
maiñ to zāhir na karūñ us kī jafā ko lekin
chhup sake kyoñ ki 'yaqīñ' zaḳhm-e-numāyāñ merā
Top Urdushayar.com