Inamullah Khan Yaqeen

gareban phaDte hain dekh KHuban-e-chaman kyun kar

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
garebāñ phāḌte haiñ dekh ḳhūbān-e-chaman kyuuñ kar
na kiije chaak nāseh is havā meñ pairahan kyuuñ kar
kare mehnat koī lazzat uThāve yaar se koī
kaho apne ta.iiñ zaa.e.a na kartā kohkan kyuuñ kar
na do ai gul-ruḳhāñ taklīf mujh ko sher-ḳhvānī kī
kaho bin fasl-e-gul koī kare dīvāna-pan kyuuñ kar
huā jaatā huuñ gaz saaya pe paḌtī hai nazar merī
terī saj dekh kar ahbāb jiite haiñ sajan kyuuñ kar
ta.ajjub saḳht rahtā hai 'yaqīñ' is baat kā mujh ko
ki itnā bolte haiñ talḳh ye shīrīñ-dahan kyuuñ kar
Top Urdushayar.com