pas-e-parda tujhe har bazm meñ shāmil samajhte haiñ
koī mahfil ho ham us ko tirī mahfil samajhte haiñ
baḌe hoshiyār haiñ vo jin ko sab ġhāfil samajhte haiñ
nazar pahchānte haiñ vo mizāj-e-dil samajhte haiñ
vo ḳhud kāmil haiñ mujh nāqis ko jo kāmil samajhte haiñ
vo husn-e-zan se apnā hī sā merā dil samajhte haiñ
samajhtā hai gunah rindī ko tū ai zāhid-e-ḳhud-bīñ
aur aise zohd ko ham kufr meñ dāḳhil samajhte haiñ
samajhtā hai ġhalat lailā ko lailā qais dīvāna
nazar vaale to lailā ko bhī ik mahmil samajhte haiñ
saḌī dīvāna saudā.ī jo chāhe so kahe duniyā
haqīqat-bīñ magar 'majzūb' ko aaqil samajhte haiñ