Inamullah Khan Yaqeen

agarche ishq mein aafat hai aur bala bhi hai

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
agarche ishq meñ aafat hai aur balā bhī hai
nirā burā nahīñ ye shaġhl kuchh bhalā bhī hai
is ashk o aah meñ saudā bigaḌ na jaa.e kahīñ
ye dil kuchh āb-rasīda hai kuchh jalā bhī hai
ye aarzū hai ki us bevafā se ye pūchhūñ
ki mere be-mazā rakhne meñ kuchh mazā bhī hai
ye kaun Dhab hai sajan ḳhaak meñ milāne kā
kasū kā dil kabhū paañv tale milā bhī hai
'yaqīñ' kā shor-e-junūñ sun ke yaar ne pūchhā
koī qabīla-e-majnūñ meñ kyā rahā bhī hai
Top Urdushayar.com