Inamullah Khan Yaqeen

kab sune zanjir mujh majruh diwane ki arz

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
kab sune zanjīr mujh majrūh dīvāne kī arz
niiñ pahuñchtī kaan tak us zulf ke shāne kī arz
garmī ahl-e-bazm se mat kar ki maiñ hotā huuñ daaġh
sham.a kī ḳhidmat meñ hai itnī hī parvāne kī arz
shīsha mujh dil sā na paave aur tirī āñkhoñ sā jaam
le agar saaqī hazāroñ saal maiḳhāne kī arz
dil ko vīrāñ mat karo ye hai junūñ kā pā-e-taḳht
ai parī-zādoñ kabhū suniye bhī dīvāne kī arz
fasl jaatī hai 'yaqīñ' aur bāġhbāñ se ek yaar
koī kartā niiñ hamāre baaġh meñ jaane kī arz
Top Urdushayar.com