umr āḳhir hai junūñ kar luuñ bahārāñ phir kahāñ
haath mat pakḌo mirā yaaro girebāñ phir kahāñ
chashm-e-tar par gar nahīñ kartā havā par rahm kar
de le saaqī ham ko mai ye abr-e-bārāñ phir kahāñ
yaar jab pahne javāhir kar de ai dil jī nisār
jal chuk ai parvāne ye rañgīñ charāġhāñ phir kahāñ
is tarah sayyād kab āzād chhoḌegā tumheñ
bulbulo dhūmeñ machā lo ye gulistāñ phir kahāñ
hai bahishtoñ meñ 'yaqīñ' sab kuchh va-lekin dard na.iiñ
bhar ke dil ro lījiye ye chashm-e-giryāñ phir kahāñ