ye vo aañsū haiñ jin se zohra ātishnāk ho jaave
agar piive koī un ko to jal kar ḳhaak ho jaave
na jā gulshan meñ bulbul ko ḳhajil mat kar ki Dartā huuñ
ye dāman dekh kar gul kā garebāñ chaak ho jaave
gunahgāroñ ko hai ummīd is ashk-e-nidāmat se
ki dāman shāyad is āb-e-ravāñ se paak ho jaave
ajab kyā hai tirī ḳhushkī kī shāmat se jo tū zāhid
nahāl-e-tāk biThlāve to vo misvāk ho jaave
duā mastoñ kī kahte haiñ 'yaqīñ' tāsīr rakhtī hai
ilāhī sabza jitnā hai jahāñ meñ taak ho jaave