Inamullah Khan Yaqeen

Tuk ek insaf kar itni bhi karta hai jafa koi

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
Tuk ik insāf kar itnī bhī kartā hai jafā koī
karegā ba.ad mere kis tavaqqo.a par vafā koī
nazar aatā nahīñ sābit garebāñ ek ġhunche kā
chaman par ye sitam kartā hai ai bād-e-sabā koī
gul-o-lāla se shor-angez-tar haigī hinā terī
na ho dīvāna kyuuñ kar dekh tere dast-o-pā koī
ajab saj se kiyā hai qatl mujh ko is ko mat Toko
talab kartā hai aise qātiloñ se ḳhūñ-bahā koī
guzar jā vasl se gar hijr meñ dekhe razā us kī
mohabbat meñ 'yaqīñ' letā hai nām-e-mudda.ā koī
Top Urdushayar.com