sarīr-e-saltanat se āstān-e-yār behtar thā
hameñ zill-e-humā se sāya-e-dīvār behtar thā
mujhe dukh phir diyā tū ne muñDā kar sabza-e-ḳhat ko
jarāhat ko mire vo marham-e-zañgār behtar thā
mujhe zanjīr karnā kyā munāsib thā bahārāñ meñ
ki gul hāthoñ meñ aur paañv meñ mere ḳhaar behtar thā
hamoñ ne hijr se kuchh vasl meñ dhaḌke bahut dekhe
hamāre haq meñ is rāhat se vo āzār behtar thā
mirā dil mar gayā jis din ki nazzāre se baaz aayā
'yaqīñ' parhez agar kartā to ye bīmār behtar thā