Inamullah Khan Yaqeen

teri aankhon ki kaifiyyat ko maiKHane se kya nisbat

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
terī āñkhoñ kī kaifiyyat ko maiḳhāne se kyā nisbat
nigah kī gardishoñ ko daur paimāne se kyā nisbat
ye jiive hijr meñ vo vasl meñ bhī jī nahīñ saktā
takalluf-bar-taraf bulbul ko parvāne se kyā nisbat
ye vo motī haiñ jin kī sīpiyāñ āñkheñ haiñ āshiq kī
mire aañsū ko marvārīd ke daane se kyā nisbat
are dil mat tavaqqo.a dilbaroñ se rakh tarahhum kī
lahū piite haiñ jo shaḳhs un ko ġham khāne se kyā nisbat
gul us kā daaġh hai aur sarv us kā āh-e-mauzūñ hai
'yaqīñ' se nauhagar ko baaġh meñ jaane se kyā nisbat
Top Urdushayar.com