haq mujhe bātil-āshnā na kare
maiñ butoñ se phirūñ ḳhudā na kare
dostī bad balā hai is meñ ḳhudā
kisī dushman ko mubtalā na kare
hai vo maqtūl kāfir-e-nemat
apne qātil ko jo duā na kare
rū mire ko ḳhudā qayāmat tak
pusht-e-pā se tirī judā na kare
nāseho ye bhī kuchh nasīhat hai
ki 'yaqīñ' yaar se vafā na kare