kār-e-dīñ us but ke hāthoñ haa.e abtar ho gayā
jis musalmāñ ne use dekhā vo kāfar ho gayā
dilbaroñ ke naqsh-e-pā meñ hai sadaf kā sā asar
jo mirā aañsū girā us meñ so gauhar ho gayā
kyā badan hogā ki jis ke kholte jaame kā band
barg-e-gul kī tarah har nāḳhun mo.attar ho gayā
aañkh se nikle pa aañsū kā ḳhudā hāfiz 'yaqīñ'
ghar se jo bāhar gayā laḌkā so abtar ho gayā