siine kā bojh ashkoñ meñ Dhalte hue bhī dekh
patthar ko mauj-e-ḳhūñ meñ pighalte hue bhī dekh
hāthoñ meñ apne vaqt kī talvār ko sambhāl
phir zaḳhm khā ke mujh ko sambhalte hue bhī dekh
āñkhoñ ke ā.īnoñ se haTā āñsuoñ kī barf
aur mujh ko apnī aag meñ jalte hue bhī dekh
pahlī nazar meñ kar na kisī naqsh par yaqīñ
logoñ ko apnī shakl badalte hue bhī dekh
kab tak phiregā shahr meñ parchhā.iyoñ ke saath
sūraj ko us galī se nikalte hue bhī dekh