Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub

dil-ruba pahlu se ab uTh kar juda hone ko hai

Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub

Orai, Uttar pradesh, India

1884-1944
dil-rubā pahlū se ab uTh kar judā hone ko hai
kyā ġhazab hai kyā qayāmat hai ye kyā hone ko hai
dushmani-e-ḳhalq merī rahnumā hone ko hai
ab mirā dast-e-talab dast-e-duā hone ko hai
tū ne chāhā thā burā merā bhalā hone ko hai
āb-e-ḳhanjar halq meñ āb-e-baqā hone ko hai
aaj to jī bhar ke pī lene de ai saaqī mujhe
jaan hī jaatī rahegī aur kyā hone ko hai
ai dil-e-pur-ārzū kar de sar-e-taslīm ḳham
dekh kin hāthoñ se ḳhūn-e-mudda.ā hone ko hai
shoḳh-raftārī kā apnī dekh to muḌ kar asar
saath saath uTh kar ravāñ har naqsh-e-pā hone ko hai
Top Urdushayar.com