Mumtaz Rashid

hui na aks-e-ruKH-e-dard se najat meri

Mumtaz Rashid

huī na aks-e-ruḳh-e-dard se najāt mirī
badal chukī hai ka.ī aa.ine hayāt mirī
khule the hoñT ki vo paas se guzar bhī gayā
bikhar ke rah ga.ī mauj-e-havā meñ baat mirī
kabhī sukūt kabhī qahqahe kabhī aañsū
badaltī rahtī hai har lamha kā.enāt mirī
chalo ġhamoñ kī kitābeñ supurd-e-āb kareñ
vo kah rahā hai kahānī hai be-sabāt mirī
sulag rahī hai tire jism kī mahak har-sū
badal ga.ī hai tire pairahan se raat mirī
laraz rahā thā talātum meñ zard sā patta
likhī huī thī samundar pe vārdāt mirī
na dab sakī kahīñ 'rāshid' mire lahū kī sadā
har ik hujūm meñ tanhā rahī hai zaat mirī
Top Urdushayar.com