Mumtaz Rashid

paya koi shajar na koi aasra laga

Mumtaz Rashid

paayā koī shajar na koī aasrā lagā
vo dhuup thī ki apnā hī saaya ḳhudā lagā
ghabrā ke bām-o-dar ke sulagte sukūt se
jhāñkā hī thā galī meñ ki sañg-e-sadā lagā
jhāḌī jo aag chehroñ kī rañgat badal ga.ī
us ke dukhoñ kā zikr sabhī ko burā lagā
dekhā use to aks-e-tamannā chamak uThe
is shahr-e-sañg meñ vo mujhe aa.inā lagā
sahrā ko der se thī kisī abr kī talāsh
paayā mujhe to vo mire siine se aa lagā
kitnā badal gayā hai vo zulfeñ tarāsh kar
dekhā jo duur se to koī dūsrā lagā
chhūte hī us ko ġhuncha-e-ehsās khil uThe
'rāshid' thake badan ko vo mauj-e-sabā lagā
Top Urdushayar.com