Mumtaz Rashid

shikasta lamhon ka tu waqt ko hisab na de

Mumtaz Rashid

shikasta lamhoñ kā tū vaqt ko hisāb na de
havā ke haath meñ bikhrī huī kitāb na de
sulag rahā hai badan dhuup kī tamāzat se
bhaḌak uThūñgā mujhe chashma-e-sarāb na de
vo rañg-e-shab hai ki dhundlā ke rah ga.iiñ āñkheñ
in ā.inoñ ko abhī koī aks-e-ḳhvāb na de
tire vajūd se bāhar bhī ek duniyā hai
yuuñ apne aap ko tanhā.ī kā azaab na de
maiñ zindagī kī sadā aag bhī huuñ shabnam bhī
mire dukhoñ ko samajh yuuñ mujhe javāb na de
guzar na dil ke bayābāñ se abr kī sūrat
sukūt-e-dasht ko maujoñ kā iztirāb na de
mirī hayāt kā hāmil haiñ zard-rū patte
ḳhizāñ kā naqsh huuñ tū mujh ko āb-o-tāb na de
na chhup sakeñgī sadāqat kī talḳhiyāñ 'rāshid'
barahna shakl ko alfāz kī naqāb na de
Top Urdushayar.com