Mumtaz Rashid

sakun mila hai magar iztirab jaisa hai

Mumtaz Rashid

sakūñ milā hai magar iztirāb jaisā hai
tire badan kā fusūñ bhī sharāb jaisā hai
hañse vo laakh magar zabt-e-ġham kī tahrīreñ
na chhup sakeñgī ki chehra kitāb jaisā hai
milegā paas se kuchh bhī na ḳhaak o ḳhuuñ ke sivā
palaT chaleñ ki ye manzar sarāb jaisā hai
na koī peḌ na saaya na āhaToñ kā gumāñ
ye justujū kā safar bhī azaab jaisā hai
vo sāmne hai magar us ko chhū nahīñ saktā
maiñ pūjtā huuñ vo paikar jo ḳhvāb jaisā hai
sulag rahe ho yūñhī ġham kī dhuup se 'rāshid'
vo haath chuum ke dekho gulāb jaisā hai
Top Urdushayar.com