Mumtaz Rashid

rang alfaz ka alfaz se gahra chahun

Mumtaz Rashid

rañg alfāz kā alfāz se gahrā chāhūñ
baat karne ke liye apnā hī lahja chāhūñ
hai thakan aisī mirā paar utarnā hai muhāl
tishnagī vo hai ki bahtā huā dariyā chāhūñ
kam-nazar hai jo kare terī satā.ish mahdūd
tū vo shahkār hai maiñ jis ko sarāpā chāhūñ
tujh pe raushan mire hālāt kī zanjīreñ haiñ
rok lenā jo kabhī tujh se bichhaḌnā chāhūñ
muflisī laakh sahī daulat-e-nāyāb hai ye
maiñ tire ġham ke evaz kyuuñ ġham-e-duniyā chāhūñ
ġham hai sannāToñ meñ qadmoñ ke nishāñ tak 'rashid'
vo añdherā hai ki dīvāroñ se rastā chāhūñ
Top Urdushayar.com