vaqt-e-māyūsī hai koī aasrā baaqī rahe
ye duā hai āsmānoñ par ḳhudā baaqī rahe
kuchh to ho logoñ ke pathrīle savāloñ kā javāb
us ke hoñToñ par mirī tarz-e-navā baaqī rahe
kuchh to ho banjar zamīnoñ ke sulagne kā sila
dasht ke sar par koī kaalī ghaTā baaqī rahe
jaane vāloñ ke liye kis ne lagā.ī ye sadā
rāste kho jaa.eñ lekin hausla baaqī rahe
āñdhiyoñ ke sāmne rakh de jo apne sab charāġh
maiñ nahīñ to koī mujh sā dūsrā baaqī rahe
kitnī tahrīreñ sajī haiñ vaqt kī dīvār par
kaun kah saktā hai kyā miT jaa.e kyā baaqī rahe