kho na jaa.e kahīñ har ḳhvāb sadāoñ kī tarah
zindagī mahv-e-tajassus hai havāoñ kī tarah
TuuT jaa.e na kahīñ shīsha-e-paimān-e-vafā
vaqt be-rahm hai patthar ke ḳhudāoñ kī tarah
ham se bhī pūchho sulagte hue mausam kī kasak
ham bhī har dasht pe barse haiñ ghaTāoñ kī tarah
bārhā ye huā jā kar tire darvāze tak
ham palaT aa.e haiñ nākām duāoñ kī tarah
kabhī mā.il-ba-rifāqat kabhī mā.il-ba-gurez
zindagī ham se milī terī adāoñ kī tarah