Mumtaz Rashid

kuchh to mushkil mein kaam aate hain

Mumtaz Rashid

kuchh to mushkil meñ kaam aate haiñ
kuchh faqat mushkileñ baḌhāte haiñ
apne ehsān jo jatāte haiñ
apnā hī martaba ghaTāte haiñ
sabr se intizār karnā siikh
achchhe din aate aate aate haiñ
fāsloñ se gurez kyā karnā
fāsle qurbateñ baḌhāte haiñ
kuchh to bār-e-nazar bhī hote haiñ
saare manzar kahāñ lubhāte haiñ
vo jo rahte haiñ be-havās aksar
hādsoñ ko vahī bulāte haiñ
koī ustād kyā sikhā.egā
jo sabaq sānehe sikhāte haiñ
jab vo milne se kuchh gurez kare
vāhime dil meñ kasmasāte haiñ
saarī yādeñ to ḳhush-gavār nahiñ
talḳh lamhe bhī yaad aate haiñ
dil meñ hotā hai vajd kā aalam
taan vo dal se jab lagāte haiñ
yaad ik hiir kī satātī hai
bāñsurī jab kabhī bajāte haiñ
naġhme gaate the jo masarrat ke
aaj kal marsiye sunāte haiñ
baat kī baat hī ise kahiye
qahqahe dard-o-ġham miTāte haiñ
kam hī ab rah ga.e haiñ jo 'rāshid'
dard kī mahfileñ sajāte haiñ
Top Urdushayar.com