Mumtaz Rashid

na faslon mein KHalish na rahat hai qurbaton mein

Mumtaz Rashid

na fāsloñ meñ ḳhalish na rāhat hai qurbatoñ meñ
maiñ jī rahā huuñ ajiib be-rañg sā.atoñ meñ
tujhe ġharaz kyā koī bhī mauzū-e-guftugū ho
har ik haqīqat badal chukī jab hikāyatoñ meñ
mirī vafā ke safar kī takmīl ho to kaise
hai terā mehvar tirī adhūrī mohabbatoñ meñ
koī to mere vajūd kī sarhadeñ batā.e
bhaTak rahā huuñ maiñ kab se apnī hī vus.atoñ meñ
vo ek saaya thā umr bhar kī thakan kā hāmil
vo ek saaya jo kho gayā hai masāfatoñ meñ
maiñ zaḳhm khā ke bhī bad-gumāñ ho sakā na 'rāshid'
ajiib rañg-e-ḳhulūs thā us kī nafratoñ meñ
Top Urdushayar.com