shikasta chhat na sahī āsmān rahne de
kaḌā hai vaqt koī sā.ebān rahne de
kuchh aur tañg na ho jaa.e jañgaloñ kā hisār
fasīl-e-shahr abhī darmiyān rahne de
qarīb-e-shahr pahuñch kar ġhubār-e-rāh na jhaaḌ
thake badan pe safar kā nishān rahne de
na chhīn mujh se mire roz-o-shab ke hañgāme
maiñ jī rahā huuñ mujhe ye gumān rahne de
bhaḌak uThe na samundar kī tishnagī 'rāshid'
mirā lahū bhī sar-e-bādbān rahne de