Mumtaz Rashid

sail-e-KHun paikar-e-ashaar mein Dhalta hi nahin

Mumtaz Rashid

sail-e-ḳhūñ paikar-e-ash.ār meñ Dhaltā hī nahīñ
ġham vo laavā hai jo siine se ubaltā hī nahīñ
aa.ine laakh magar ek sī tasvīreñ haiñ
kis ko dekhūñ maiñ koī shakl badaltā hī nahīñ
jo bhaTaktā thā kabhī dhuup ke sahrāoñ meñ
ab vo saaya mirī chaukhaT se nikaltā hī nahīñ
koī tahrīr miTā.eñ to dhuāñ uThtā hai
dil vo bhīgā huā kāġhaz hai ki jaltā hī nahīñ
mujh se muñh pherne vaale mirī qīmat pahchān
maiñ vo sikka huuñ jo bāzār meñ chaltā hī nahīñ
kaun chhīnegā mirī soch kī daulat 'rāshid'
jism kā bojh to logoñ se sambhaltā hī nahīñ
Top Urdushayar.com