ġham kī tahzīb aziyyat kā qarīna sīkheñ
aao is shahr meñ jiinā hai to jiinā sīkheñ
maut aane kī sadā lamha-ba-lamha chāheñ
ziist karne kā hunar zīna-ba-zīna sīkheñ
har nahīñ haañ se baḌī hai ye haqīqat samjheñ
haañ bahut siikh chuke ab to koī nā sīkheñ
jhāñk kar āñkhoñ meñ siine meñ utar kar dekheñ
naqsha-e-dil se koī rāz-e-dafīna sīkheñ
shahr-e-kotāh meñ sab past-nashīñ past-nishāñ
kis ko hamrāz kareñ kis kā qarīna sīkheñ
falsafa ishq kā asrār fan-o-hikmat ke
ḳhānqāhoñ se paḌheñ sīna-ba-sīna sīkheñ
dil to ā.īna hai shaffāf rakheñ ai 'shāhid'
kyuuñ kareñ buġhz-o-hasad kis liye kiina sīkheñ