har dar-o-dīvār pe larzāñ koī paikar lage
kitnī shakloñ kā parī-ḳhāna hamārā ghar lage
dauḌtī jaa.eñ ragoñ meñ nīl-gūñ ḳhāmoshiyāñ
duur tak phailā huā yuuñ dhund kā manzar lage
band kamre meñ balā-e-jāñ hai ehsās-e-sukūt
aur bāhar har taraf āvāz kā patthar lage
jaise jaise TūTtā jaa.e nigāhoñ kā bharam
shaḳhsiyat apnī bhī apne-āp ko kam-tar lage
kaañp jaatā hai sadā-e-dil se sahrā-e-sukūt
aur apne paañv kī aahaT se bhī ab Dar lage
ek be-ma.anī tajassus ek be-ma.anī ḳhalish
ek sho.ala sā lapaktā jism meñ aksar lage