Shahid Mahuli

hashiye par kuchh haqiqat kuchh fasana KHwab ka

Shahid Mahuli

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1943
hāshiye par kuchh haqīqat kuchh fasāna ḳhvāb kā
ik adhūrā sā hai ḳhāka zindagī ke baab kā
rañg sab dhuñdlā ga.e haiñ sab lakīreñ miT ga.iiñ
aks hai be-pairahan us paikar-e-nāyāb kā
zarra zarra dasht kā māñge hai ab bhī ḳhūñ-bahā
muñh chhupā.e ro rahā hai qatra qatra aab kā
saañp ban kar Das rahī haiñ sab tamannā.eñ yahāñ
kārvāñ aa kar kahāñ Thahrā dil-e-be-tāb kā
koh-e-tanhā.ī kā 'shāhid' zarra zarra TūTnā
paara paara ho gayā hai ab jigar sīmāb kā
Top Urdushayar.com