Shahid Mahuli

kuchh dard baDha hai to mudawa bhi hua hai

Shahid Mahuli

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1943
kuchh dard baḌhā hai to mudāvā bhī huā hai
har-sū dil-e-betāb kā charchā bhī huā hai
purze bhī uḌe haiñ mirī vahshat ke sar-e-rāh
nazroñ meñ hamārī ye tamāshā bhī huā hai
phūTe haiñ kahīñ aah bhare dil ke phaphole
pāmāl koī shahr-e-tamannā bhī huā hai
maanā ki kaḌī dhuup meñ saa.e bhī mile haiñ
is raah meñ har moḌ par dhokā bhī huā hai
raushan to hai yaḳh-basta fazāoñ meñ koī aag
tārīkī-e-zindāñ meñ ujālā bhī huā hai
har lamha koī hādisa roke hai mire paañv
har pal kisī ḳhvāhish kā taqāzā bhī huā hai
kis moḌ pe aa pahuñchā hai 'shāhid' ye zamāna
raftār qayāmat kī hai Thahrā bhī huā hai
Top Urdushayar.com