Shahid Mahuli

haqiqaton se ulajhta raha fasana mera

Shahid Mahuli

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1943
haqīqatoñ se ulajhtā rahā fasāna mirā
guzar gayā hai mujhe rauñd ke zamāna mirā
samundaroñ meñ kabhī tishnagī ke sahrā meñ
kahāñ kahāñ na phirā le ke āb-o-dāna mirā
tamām shahr se laḌtā rahā mirī ḳhātir
magar usī ne kabhī hāl-e-dil sunā na mirā
jo kuchh diyā bhī to mahrūmiyoñ kā zahr diyā
vo saañp ban ke chhupā.e rahā ḳhazāna mirā
vo aur log the jo maañg le ga.e sab kuchh
yahāñ to sharam thī dast-e-talab uThā na mirā
mujhe tabāh kiyā iltifāt ne us ke
use bhī aa na sakā raas dostāna mirā
kise qubūl kareñ aur kis ko Thukrā.eñ
inheñ savāloñ meñ uljhā hai tānā-bānā mirā
Top Urdushayar.com