Shahid Mahuli

bujhe bujhe se charaghon se silsila paya

Shahid Mahuli

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1943
bujhe bujhe se charāġhoñ se silsila paayā
hujūm-e-yās meñ bhaTke to rāsta paayā
kisī ḳhayāl meñ ubhrā umiid kā chehra
kisī umiid meñ partav ḳhayāl kā paayā
na jaane kitne gharoñdoñ ko TūTte dekhā
kisī khañDar meñ tamannā kā naqsh-e-pā paayā
tamām raat nayā but tarāshte guzrī
huī jo sub.h to us but ko TūTtā paayā
qadam qadam pe mile yuuñ to qahqahe bikhre
darūn-e-jism koī shaḳhs chīḳhtā paayā
tilism TuuT gayā dhund chhaT ga.ī 'shāhid'
kahīñ pe Thahr ke socheñ ki ham ne kyā paayā
Top Urdushayar.com