sāñsoñ meñ rag-o-pai meñ samāyā hai koī aur
hai ziist kisī aur kī jiitā hai koī aur
āñkhoñ ne basā.ī hai koī aur hī sūrat
us dil ke nihāñ-ḳhāne meñ Thahrā hai koī aur
kyā turfa tamāshā hai ki us dil kī sadā ko
suntā hai koī aur samajhtā hai koī aur
ik aag hai jo dil meñ bujhī jaatī hai har-pal
ḳhirman se jo uThtā hai vo sho.ala hai koī aur
lāshe haiñ kināre pe paḌe tishna-laboñ ke
jo pyaas bujhātā hai vo dariyā hai koī aur
har sub.h pe saaya sā hai kuchh talḳhī-e-shab kā
har shaam ko andesha-e-fardā hai koī aur
ik bū-e-rifāqat sī fazāoñ meñ hai 'shāhid'
is kūcha-e-begāna se guzrā hai koī aur