āñkhoñ dekhī baat kahānī lagtī hai
na.ī na.ī sī riit purānī lagtī hai
dasht-navardī lagtī hai sauġhāt tirī
shab-bedārī koī nishānī lagtī hai
tāshoñ kā thā khel suhānā bachpan kā
chū-mantar sī bharī javānī lagtī hai
shaam huī to kaale saa.e umaD paḌe
sub.h ko to har chiiz suhānī lagtī hai
mariyam jaisī dhulī dhulī ik mūrat sī
merā jaisī koī divānī lagtī hai
chehrā āñkheñ hoñT tumhāre jaise haiñ
sūrat phir bhī kyuuñ anjānī lagtī hai
TuuTe jaise koī khilaunā miTTī kā
patthar jaisī saḳht javānī lagtī hai