Shahid Mahuli

bhaTak rahi hai andheron mein aankh dekhe kya

Shahid Mahuli

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1943
bhaTak rahī hai añdheroñ meñ aañkh dekhe kyā
rukī hai soch ki ab aur aage soche kyā
har ek raah hai sunsān har galī ḳhāmosh
ye shahr shahr-e-ḳhamoshāñ hai koī bole kyā
bujhī bujhī sī tamannā thakī thakī sī umiid
ab aur yaas ke sahrā meñ koī chāhe kyā
huī hai sub.h se kis tarah shaam shaam se sub.h
jo merī jaan pe guzrī hai koī samjhe kyā
har ek fard hai yaañ apnī apnī soch meñ gum
javāb ḳhud se gurezāñ savāl pūchhe kyā
Top Urdushayar.com